Shayari english mein is a beautiful way to express deep emotions with elegance. It is about love, heartbreak, or life’s journey, english mein shayari connects hearts across cultures. Love shayari english mein captures feelings in a poetic form, and makes every moment touching. From sher-o-shayari english mein to romantic poetry, these attractive words have the power to inspire and heal. If you want poetry, english mein shayari love is the perfect way to convey your emotions. Whether it is a message for someone special or a reflection of your thoughts. Shayari english mein love brings the beauty of words to life, making every moment special.
Love Shayari English Mein

Piyar ke phool har mousam mein khilte hain,
Piyar ke badal har mousam mein baraste hain,
Hum mile ya na mile par yaad hum aapko har lamha karte hain.

Jin ke liye tere arman hi kafi hain,
Dil ki qalam se likhi yeh dastan hi kafi hai,
Teer ki kya zaroorat hai,
Qatal karne ke liye teri muskan hi kafi hai.

Jab se mile hain hum tumse,
Saare ghum bhula diye humne,
Khushiyan thi na naseeb mein humari,
Phir bhi jeena sikha diya tumne.

Har qarz piyar ka adaa kon kare ga,
Jab hum hi na rahe toh piyar kon kare ga,
Aye khuda mere piyar ko salamat rakhna,
Varna mere jeene ki dua kon kare ga.
English Mein Shayari

Madhosh aankhon se woh jab humein dekhte hain,
Hum ghabra ke apni palkein jhuka lete hain,
Kaise milaen hum un aankhon se aankhein,
Suna hai woh aankhon se apna bana lete hain.

Teri aankhon mein chupi hai muhabbat ki kahani,
Har pal hoti hai yahan ak nai zubani,
Kabhi udas toh kabhi hansti hain yeh aankhein,
Kehti hain har din ak nai kahani.

Jo sab dete hain woh hum nahi denge,
Piyar jab bhi denge kam nahi denge,
Yakeen na ho toh azma lena meri jaan,
Zindagi mein kabhi tumhein ghum nahi denge.

Ak hi nazar mein aap humari mehman ban gaye,
Do baatein kya kar li sara jahan ban gaye,
Pass reh kar bhi log humein apna bana na paye,
Door reh kar bhi aap humari jaan ban gaye.
English Mein Shayari Love

Tumse doori ka ehsaas satane laga,
Tere sath guzra har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki,
Jaan tu dil ke aur qareeb aane lagi.

Ajnabi galiyon se hum guzra nahi karte,
Dard-e-Dil liya aur diya nahi karte,
Yeh piyar ka rishta sirf aap se hai varna,
Itne calls hum har kisi ko kiya nahi karte.

Teri aankhein tere honth piyare piyare,
Bhulaya nahi jata woh labon se lab milana,
Woh mehakti garm saanse woh betaab dhadkana,
Aur woh meri bahon mein simatna tera.

Teri nazar ka teer mere dil ke paar ho gaya hai,
Ab tere bina jeena mera dushwar ho gaya hai,
Tujh se hi minnate karta hoon aur tujh ko hi sab mana hai,
Ab tu hi meri zindagi aur manzil ho gaya hai.
Sher Shayari English Mein

Dete ho kiyun yeh dard hum hi ko,
Kiyun samajho gay tum inn aankhon ki nami ko,
Yun toh hongay lakhon deewane iss chand ke,
Chand kya mehsoos karenga ak taare ki kami ko.

Chand tu chamakna chod de,
Teri chandni hum ko bahot satati hai,
Tere jaisa uska chehra hai,
Tujhe dekh ke woh yaad aati hai.

Chand utra tha humare aangan mein,
Yeh sitaaron ko gawara na hua,
Hum bhi sitaaron se kiya gila karen,
Jab chand hi humara na hua.

Muhabbat mein meri khata ho gayi,
Meri wafaye hi meri saza ho gayi,
Tujh se juda ho kar kaise jiye,
Judai hi muhabbat ki imtihan ho gayi.
Shayari English Mein Love

Jab se dekha hai teri aankhon mein jhank kar,
Koi bhi aaina acha nahi lagta,
Tere ishq mein aise hue hain deewane hum,
Koi aur dekhe tujhe toh acha nahi lagta.

Teri aankhon ka jaadu yeh asar kar gaya,
Dil mein chupa har dard beasar kar gaya,
Nazarein mili toh dil dhadkane laga,
Inn aankhon ne humein bekhabar kar diya.

Kab maine kaha ke chandi aur sona chahiye,
Bas aapke dil mein ak chota sa kona chahiye,
Kehh sake jise hum dil se apna,
Aisa bhi toh koi apna hona chahiye.

Mana keh bhulana humari adat hi sahi,
Magar aapko bhool jana humare bas mein nahi,
Dil chahe toh azma ke dekh lo,
Hum bhulna bhool jayenge par aapko nahi.
Also Read: 2 Line Shayari Life Is The Best Way To Express Emotions