HomeLove PoetryBest Attitude Shayari & Motivational Lines | Piyaari Shayari

Best Attitude Shayari & Motivational Lines | Piyaari Shayari

Attitude shayari reflects confidence and a bold outlook on life. It inspires self-belief and motivates individuals to stay strong in every situation. You are looking for attitude shayari 2 line for a quick impact. Attitude shayari in english our site collection captures the essence of a fearless personality. For those who love powerful expressions in their native language. Attitude shayari in hindi offers a deep and meaningful touch. If you want to showcase a strong and fearless persona. Boys attitude shayari adds the perfect words to express determination and self-respect. Explore the latest these captivating words and let your attitude shine through poetry.

Best Attitude Shayari To Express Your Bold Personality

attitude-shayari
Attitude Shayari

Pata nahi kuch log humse naraz kiyun hote hain,

Jab keh inhe maloom hota hai humein ghanta farq nahi padta.

Aur yeh bura waqt humara kuch nahi bigad sakta,

Hawaon ke takrane se asman mein suraj nahi hua karte.

attitude-shayari

Mere andar safai dene wala insan mar chuka hai,

Phir tum ghalat samajho ya bahot ghalat mujhe farq nahi padta.

Tarbiyat ne humein majboor kiya zindagi ke har mod par varna,

Kuch log izzat ke qabil nahi lannat ke qabil the.

attitude-shayari

Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte,

Jaam cheen kar kisi ka piya nahi karte,

Pyar karna hai toh khud aa ke kar warna,

Peechha hum kisi ka kiya nahi karte.

Best Attitude Shayari

Dusre aapke khilaf tab ho jate hain,

Jab aap inke ikhtiyar mein rehne se inkar kar dete hain.

attitude-shayari

Jo log samajhte hain main gir jaunga,

Woh dekhte reh jate hain,

Meri udan unke sapno se agay hai,

Main apni manzil ki taqdeer khud se likhta hoon.

Attitude Shayari

Tamasha dekhne ka maza tab aata hai jab mahool,

Apne khilaf ho aur apne kisi aur ke sath hoon.

attitude-shayari

Attitude to sab ke pass hota hai,

Par jo log samajh jayen woh asliyat mein jeete hain,

Main apne dum par sab kuch pata hoon,

Aur apni duniya mein sab se alag hoon.

Agar zindagi mein kamiyab hona chahte ho,

Toh apni zindagi se agar magar ko nikal do.

Attitude Life Shayari​

attitude-shayari

Main us soch ka nahi jo duniya ko follow kare,

Main apni rah khud banata hun,

Meri manzil meri mehnat se milti hai,

Aur main apne safar mein akele hi jeeta hun.

Meri nigahein un rahon par bhi hai jahan,

Dusre khuwab mein bhi qadam rakhne se darte hain.

Jo log mere peche baat karte hain,

Unka level mere samne kuch bhi nahi,

Meri duniya meri marzi se chalti hai,

Aur main apne andaz se sab ko jeeta hoon.

attitude-shayari

Logon ki baat se main kabhi nahi badalta,

Main apne sapne khud likhta hun,

Zindagi ka asli maza toh tab hai,

Jab apne liye kuch kar ke dekhata hun.

New Attitude Shayari

Attitude Shayari

Kuch logon ke number is liye bhi save karne padte hain,

Keh agli baar inki call kahin ghalti se pick na ho jaye.

Meri duniya meri marzi se chalti hai,

Jo log jalte hain wo sirf wahim rakhte hain,

Mera attitude unke liye samajh se pare hai,

Main apne dum par jeeta hoon.

attitude-shayari

Apni rah main khud dhoondhta hun,

Kisi ke kehne se nahi chalta hun,

Jo sochta hun wo kar ke dekhata hun,

Aur apni duniya mein sab se alag nazar aata hun.

attitude-shayari

Hamesha wohi log aapke muqable mein ayen gay,

Jinki pehchan aapki wajah se bani hogi.

Attitude Status Shayari​

Chamak suraj ki nahi mere kirdar ki hai,

Khabar aasman ke akhbaron ki hai,

Chalte chalte qafila mere sath chalta hai,

Yeh fakhar ke bare mein nahi hai yeh bharosa ke bare mein hai.

Woh aapke muqable mein kai guna zyada mehnge hain,

Jinke qadamon mein khak hai duniya badal jaye gi,

Mausam badle ga lekin humare asool wohi rahein gay.

attitude-shayari

Taqat wahan dekhao jahan samne wala bhi hathi ho,

Kamzoor par waar karna buzdil ka kaam hai bahadar ka nahi.

Mehnat itni chal rahi hai ke,

Dil ke sath sath dimag bhi hanp jaye,

Aur rutba aisa banana hai ke samne wala,

Naam sunte hi kamp jaye.

Sher Shayari Attitude

attitude-shayari

Suraj chand aur sitare mere sath mein rahe,

Jab tak tumhara hath mere hath mein rahe,

Shakhon se jo toot jaye woh patta nahi hain hum,

Aandhi se koi kehh de ke apni auqat mein rahe.

Guzarte lamhon mein sadiyan talash karta hun,

Piyas itni hai ke nadiyan talash karta hun,

Yahan per log ginate hain khubiyan apni,

Main apne aap mein khamiyan talash karta hun.

attitude-shayari

Taqat apne alfaz mein paida karo awaz mein nahi,

Kiyun keh fasal baarish se hoti hai silab se nahi.

Meri taqdeer mein jalna hai to jal jaunga,

Main koi tera wada to nahi jo badal jaunga,

Mujh ko na samajhao meri zindagi ke asool,

Main khud hi thokar kha ke sambhal jaunga.

Shayari for Attitude​

attitude-shayari
Attitude Shayari

Aisa koi shahir nahi jahan apna kaher nahi,

Aisi koi gali nahi jahan apni chali nahi,

Sun beta tumhare khon mein sirf jalna likha hai,

Aur humare khon mein sirf jalana.

Logon ko iss baat se gharz nahi hoti ke aap khosh hote hain ya nahi,

Unhe farq sirf iss baat se parta hai ke aap unhe khosh rakhte hain ya nahi.

attitude-shayari

Tere ishq ka junoon hai mujhe,

Attitude se bhara hai yeh dil mera.

Muhabbat ka rang hai teri aankhon ka,

Tu hai meri zindagi aur meri taqdeer ka tara.

Dar hamesha aapko ak qaidi bana kar rakhe ga,

Jab keh khule vichar aapko ak badshah bana kar rakhein gay,

Karne do jo aapki buraiyan karte hain,

Aisi choti choti harkatein chote log hi karte hain,

Tum zara hath mera thaam ke dekho toh sahi,

Log jal jayenge mehfil mein charago ki tarah.

Attitude Shayari New​

attitude-shayari

Aankhon se nafrat ki chamak,

Dil mein chupi hai nafrat ki aag,

Khatre se khel raha hai tu,

Par na jane teri khudgarzi ka raaz.

Meri auqat dekhne se pehle,

 Tujhe apni auqat dekhni padegi,

 Attitude to baad mein lana,

Pehle hawalaat dekhni padegi.

attitude-shayari

Sab ka hisab rakhta hai khuda,

Kabhi milata hai kabhi karta juda,

Apne attitude mein rehne ka alag maza hai,

Na hi mel-milap zyada aur na hi alvida.

attitude-shayari

Dekho jis ke liye bhi hum ajnabi ban gaye hain,

Wohi log aaj humare peche peche ghoomte hain,

Kiyun keh jaan pehchan walon ko main sath mein rakhta hoon.

Visit Our Site

Must Read