Life is a journey filled with ups and downs, sometimes a few words can express the deepest emotions. 2 line shayari life captures the essence of challenges and wisdom in just two lines. It is about the reality of life, short yet impactful words leave a lasting impression. Life shayari in english adds a poetic touch to emotions, making them relatable to everyone. If you seek motivation or a fresh perspective, 2 line shayari on life in english can uplift your spirit. The beauty of words through the best 2 line shayari on life that reflects the depth of human experiences.
2 Line Shayari Life

Zindagi ak kitab si hai har pal ak naya safha kholta hai,
Kabhi khushi se bhar deta hai kabhi aanso ke sath ro leta hai.

Zindagi ke har mod pe ak naya imtehan hai,
Jo muskura ke jeet le wahi asal insan hai.

Zindagi ke har pal ko jeena sekho,
Kiyun keh yeh lamha phir kabhi laut kar nahi aye ga.

Zindagi ke raaste mein aksar girna padta hai,
Par jo uth khada ho wohi toh asal jeet pata hai.

Zindagi khilti hai jab apne sapno ko jeete ho,
Varna yeh toh bas guzar jati hai yunhi beete palon mein.
English Shayari on Life 2 Lines

Zindagi ki haqeeqat ko bas itna hi jana hai,
Dard mein akele hain aur Khushiyon mein zamana hai.

Sab kuch milta hai iss duniya mein,
Bas woh nahi milta jis se muhabbat ho.

Tumhara apna woh hai jo tumhein kisi ke liye nazar andaz na kare,
Iss liye miyasar itne raho ke qadar barqarar rahe.

Zindagi ka asal maza toh muskurane mein hai,
Jo ghum mein bhi khushi dhoond lay wohi toh asli deewana hai.

Duniya mein sab se badi daulat insan ki izzat-e-nafs hoti hai,
Usey kho kar insan ko karoon ka khazana bhi mil raha ho toh woh ghate ka sauda hai.
2 Line Shayari on Life

Zindagi mein, Zindagi ke liye bahot saari cheezon ki zaroorat hoti,
Magar un bahot saari zarooraton ke liye ak acha life partner bahot hai.

Jab qismat aur haalat kharab ho na,
Tab bahot kuch sunna aur sehna padta hai.

Zindagi ki talash mein ham khud toh kho dete hain,
Khushi ke chakar mein ghum se bhi mooh mod lete hain.

Jo tumhari khamoshi se tumhari takleef ka andaza na kar sake,
Uske samne zuban se izhar karna sirf lafzo ko zaya karna hai.

Agar haarne wala haarne ke baad bhi muskura de,
Toh jeetne wala apni jeet ki khushi bhi haar deta hai.
2 Line Shayari on Life in English

Jab kabhi tumhara dil be wajah bechain rehne lagay toh,
Samajh jana tumhara Rab tumhein arsh par yaad kar raha hai.

Investment wahan karen jahan se return aye,
Phir chahe woh jazbat hoon izzat ho ya phir mohabbat.

Insan chehra toh saaf rakhta hai jis par logon ki nazar hoti hai,
Magar dil ko saaf nahi rakhta jis par Allah ki nazar hoti hai.

Ak hazar qabil insan mar jane se itna nuqsan nahi hota,
Jitna ak ehmaq ke sahib-e-ikhtiyar ho jane se hota hai.

Bad dua sirf alfaz nahi hote jisko dukh do uski aah bhi,
Bad dua ban jati hai aur Rab bahot insaaf karne wala hai.
Best 2 Line Shayari on Life

Duniya ke liye aap ak shaks ho sakte hain,
Lekin ak shaks ke liye aap duniya hain.

Douran-e-guftgu sab se badi galti jo hum karte hain,
Woh yeh keh hum samajhne keliye nahi balkeh jawab dene ke liye sunte hain.

Izzat kamana chahte ho toh jitna tumhare pas hai,
Uss se kam dikhawa karo aur jitna ilam rakhte ho itna kam bolo.

Maine zindagi se ak hi baat sekhi hai keh,
Insan ko koi bhi cheez nahi hara sakti jab tak woh khud haar na maan lay.
2 Line Life Shayari in English

Hamesha apni choti choti ghaltiyon se bachne ki khoshish karo,
Kiyun keh insan pahadon se nahi patharon se thokar khata hai.

Hamesha samajhota karna sekho kiyun keh thoda sa jhuk jana,
Kisi rishte ko hamesha ke liye tod dene se behtir hai.

Manzil mile gi bhatak kar hi sahi,
Gumrah toh woh hain jo ghar se nikle hi nahi.

Jo tumhein khushi mein yaad aye samajho tum uss se mohabbat karte ho,
Aur jo tumhein ghum mein yaad aye toh samajho woh tumse mohabbat karta hai.