Pyar Shayari has a magical way of expressing emotions that words often fail to capture. It beautifully conveys love longing and deep feelings in a shayari that touches the heart. Whether it’s the joy of being in love or the pain of separation every verse carries emotions that resonate deeply. Pyar Shayari adds charm to heartfelt expressions making them even more specialist. These verses will speak for you if you want poetic words to express your love. Let the power of words bring your emotions to life. And make every moment memorable with soul-stirring shayari that reflects the true essence of love.
Dil Se Pyar Shayari

Hum unke hontho ko chum kar,
Piyaas bujhana chahte the,
Chuma jo honth unke woh bhi barsu ke piyase nikle.

Yeh zindagi tere sath ho yeh arzo din raat ho,
Main tere sang sang chalon tu har safar mein mere sath ho.

Raat ka andhera kuch kehna chahta hai,
Yeh chand chandni ka sath rehna chahta hai,
Hum toh tanha hi khush the magar pata nahi kiyun,
Ab yeh dil kisi ke sath rehna chahta hai.

Tere seene se lag kar teri arzo ban jau,
Teri saanson se mil kar teri khushbo ban jau,
Fasle na rahe koi hum dono ke darmiyan,
Main main na rahu bas tum ban jau.

Sukoon milta hai jab un se baat hoti hai,
Hazar raaton mein woh ak raat hoti hai,
Nigah utha kar jab dekhte hain woh meri taraf,
Mere liye wohi pal puri kainat hota hai.
Pyari Shayari

Karni mujhe khuda se kuch fariyad baqi hai,
Humein un se kehni kuch baat baqi hai,
Maut aye gi toh keh dengay zara ruk,
Abhi mere dost se ek mulaqat baqi hai.

Zindagi ke liye jina zaroori hai,
Jeene ke liye arman zaroori hai,
Dil mein chahe hazaro gham hoon,
Phir bhi tere chehre pe muskan zaroori hai.

Na zid hai na koi guroor hai humein,
Bas tumhein pane ka suroor hai humein,
Ishq gunah hai toh galti ki humne,
Saza jo bhi ho manzoor hai humein.

Tum na mano magar haqeeqat hai,
Ishq insan ki zaroorat hai,
Unki mehfil mein baith kar dekho,
Zindagi kitni khubsurat hai.
Love Shayari Pyar

Main ghalib o Faraz nahi jo biyan karu lafzo mein,
Kahan alfaz ka wazan kahan mere yaar ka husan.

Khud se bhi zyada hai,
Humein pyar tujh se zyada hai,
Logo ko hoti hogi jeene ke liye dil ki zaroorat,
Humein toh zaroorat teri zyada hai.

Apni har shayari har kalaam bas tere naam likhte hain,
Ishq mohabbat pyar ka jab bhi aata hai naam,
Jaan hum bas tera naam likhte hain.

Seene se apne laga kar rakhna hai,
Kabhi juda na kar sake koi humein,
Aise tumhein apna bana kar rakhna hai.
Poetry Pyar Wali

Yaadon ke karwan chalte rahenge,
Jab tak hum khuwab bunte rahenge,
Bhuja do aa kar iss yaadon ki aag ko,
Kab tak hum bas yun hi jalte rahenge.

Is pal ko mohabbat mein dhal jane do,
Na roko mujh ko qareeb apne aane do,
Sanam is pyar ki aag ko aur badh jane do,
Aaj do jismo ko lipat kar ak ho jane do.

Tu aa kar yunhi roz mujhe chhu jaya kar,
Har lamhe mein apna hone ka ehsaas dilaya kar,
Kabhi aa kar pass mere thehar jaya kar,
Toh kabhi tu mujh mein hi utar jaya kar.

Humare dil se pocho haal humara,
Kitna zaroori hai humare liye piyar tumhara,
Tum nahi toh kuch nahi,
Bin tumhare adhura hai jahan humara.

Mohabbat ki hawa jism ki dawa ban gayi,
Doori aapki meri chahat ki saza ban gayi,
Kaise bhoolun aapko ek pal ke liye,
Aapki yaad humare jeene ki wajah ban gayi.
Pyaar Par Shayari

Zindagi guzar jaye par piyar kam na ho,
Yaad humein rakhna chahe paas hum na ho,
Qiyamat tak chalta rahe pyar ka safar dua karo rab se,
Yeh rishta kabhi khatam na ho.

Tere door jane se pehle main marjaun,
Tere dil todne se pehle main marjaun,
Chahat mein meri tujhe kabhi kami nahi milegi,
Agar teri chahat mein kami aaye toh main marjaun.

Pyar ka nasha aur sharab ke nashe mein bahut farq hai,
Kiyun ke sharab ka nasha toh sirf pite waqt hi chadhta hai,
Phir utar jata hai lekin pyar ka nasha jab chadhta hai toh utarta hi nahi.

Ruth jao kitna bhi mana lenge,
Door jao kitna bhi bula lenge,
Dil akhir dil hai sagar ki reet toh nahi,
Keh naam likh kar use mita denge.
Also Read: Top 2 Line Love Shayari In English For Boyfriend, Girlfriend