HomeUrdu poetryBest Friendship Poetry In Urdu Expressing Love And Loyalty

Best Friendship Poetry In Urdu Expressing Love And Loyalty

Friendship is the world’s most important bond. For centuries poets have beautifully captured the essence of friendship through their words. Urdu poetry stands out as a timeless medium to express these emotions. Friendship poetry in urdu is not just a verse. It is the loyalty of companionship and the joy of having a friend who understands you like no one else can. In friendship poetry in urdu, we’ll dive into its beauty significance, and emotions. Urdu poetry immortalizes the bond of friendship in the most captivating way.

Poetry on True Friendship in Urdu

friendship-poetry-in-urdu
Friendship Poetry in Urdu

Teri dosti ki chahat pe naaz hai mujhe,

Teri har ak baat pe atibar hai mujhe,

Tere chehre pe rahe muskurahat hamesha,

Kiyun keh teri muskurahat se piyaar hai mujhe.

Keh manzil mil jane se dosti bhulai nahi jati,

Aur humsafar mil jane se bhi dosti mitai nahi jati,

Mera yaar toh khuda ne tohfe mein diya hai mujhe,

Aisi qeemti cheez toh zindagi se hatai nahi jati.

Yeh na pochein keh raat ke iss waqt hum ab kidhar chal padein,

Dost woh hota hai jo sirf ak awaz par chal pary,

Teri baaton se sabit howa hai keh tera raasta thek hai,

Har hawale se tere sath hain ab hum tu jidhar chal padein.

friendship-poetry-in-urdu

Dosti hamesha khushi ki raahein roshan kare,

Yehi hai humari dua yehi hai humara hadiya.

Friendship Poetry in Urdu Two Lines Sms

friendship-poetry-in-urdu

Pata nahi jin se dosti achi hoti hai,

Unke hi shehir alag kiyun hote hain.

Friendship Poetry in Urdu

Mohabbat se behtar hoti hai dosti,

Agar dost mein mohabbat ho toh.

friendship-poetry-in-urdu

Hum mar bhi gaye toh humari yaadein tumse wabastah rahe gi dost,

Tum yeh mat samajhna keh dost banaya hai sirf waqt guzari ke liye.

friendship-poetry-in-urdu

Raaston mein tera hath ho sath chalon ga,

Dost ho tum mere yeh piyar ka wada chalon ga.

Friendship Poetry in Urdu Text

Dosti ka har rang har jagah bikhra howa hai,

Yeh dost hamesha hai har pal ke lamhe mein chupa hai.

Nazuk sa dil kabhi bhool se na toote,

Choti choti baaton se aap na ruthe,

Thodi si bhi fikar ho agar apko humari,

Toh koshish karna ke yeh dosti humari kabhi na toote.

Zindagi har pal kuch khaas nahi hoti,

Phoolo ki khushboo hamesha paas nahi hoti,

Milna humari taqdeer mein tha warna,

Itni piyari dosti itefaq nahi hoti.

Zindagi ke kisi mood par khud ko tanha na samajhna,

Sath hoon main tere khud se juda mat samajhna,

Omar bhar tujhse dosti karne ka wada kiya hai,

Agar zindagi sath na de toh mujhe bewafa mat samajhna.

Friendship Poetry in Urdu English

friendship-poetry-in-urdu

Ek piyar sa dil jo kabhi nafrat nahi karta,

Ek piyari si muskan jo kabhi pheeki nahi padti,

Ek ehsaas jo kabhi dukh nahi deta,

Aur ek rishta jo kabhi khatam nahi hota.

Saalon baad na jane kiya sama hoga,

Hum sab dosto mein se na jane kon kahan hoga,

Milna howa toh phir milenge khuwabo mein,

Jaise sukhe ghulab milte hain kitabo mein.

friendship-poetry-in-urdu

Rishton se badi chahat kiya hogi,

Dosti se badi ibadat kiya hogi,

Jise dost mil jaye aap jaisa,

Use zindagi se shikayat kiya hogi.

Teri aankhon mei khoya hoon main,

Teri baaton mein bikhra hoon main,

Tu hi meri har khushi tu hi meri har muskurahat,

Tu hi meri zindagi ka raaz hai.

Poetry in Urdu on Friendship

Khushi itni ho ke aap dikha sako,

Ghum bas itna ho ke aap chupa sako,

Zindagi mein ek dost aisa rakhna,

Jiske liye aap mood off mein bhi muskura paye.

friendship-poetry-in-urdu
Friendship Poetry in Urdu

Saare dost ak jaise nahi hote,

Kuch humare ho kar bhi humare nahi hote,

Aap se  dosti karne ke baad mehsoos howa,

Kon kehte hai taare zameen par nahi hote.

Dosti dil se ho toh wafa ban jati hai,

Dosti mohabbat se ho toh piyar ban jati hai,

Dosti anjaan se ho toh pehchan ban jati hai,

Dosti ache insan se ho toh zindagi ban jati hai.

friendship-poetry-in-urdu
Friendship Poetry in Urdu

Rishton ke naam bhi ajeeb hain,

Woh sirf dost hai magar ghar walo se ziada qareeb hai.

Also Read: Best Sad Poetry In Urdu That Touches The Heart, اردو شاعری

Must Read