Dosti sad shayari expresses the deep feelings of friendship that have been through heartbreak. True friendship is a bond of trust and loyalty, but sometimes distance brings sorrow. Heart-touching words encapsulate a friend and the memories that last forever. You may have experienced a broken friendship or missed someone special. Its emotional lines will remind you of the true essence of friendship. Dosti sad shayari teaches us valuable lessons and makes us emotionally stronger. Find the most touching, sad shayari on friendship that reflects your feelings.
Dosti Sad Shayari in English

Arey tum mohabbat ki baat karte ho,
Humne toh dost bhi matlabi dekhe hain.

Sab kuch hai mere pas par dil ki dawa nahi,
Door wo mujh se hai par main khafa nahi,
Malum hai ab bhi piyaar karta hai mujh se,
Wo thoda sa ziddi hai magar bewafa nahi.

Tumne chod diya haal ghareebi dekh kar,
Aa dekh hum aaj bhi anmol hain dosti ke bazar mein.

Kabhi na aaya wo mere sath chal ke,
Hamesha gaya mujhe naraz kar ke,
Mout par meri agar wo aya to kehh dena ke,
Abhi abhi soya hai tumhe yaad kar ke.

Yun lagay dost tera mujh se khafa ho jana,
Jis tarah phool se khushbo ka juda ho jana.
Sad Shayari Dosti Ke Liye

Aaj door behta ek dost bahot yaad aaya,
Acha guzra hua kuch waqt bahot yaad aaya,
Jo mere dard ko seene mein chupa leta tha,
Aaj jab dard hua toh woh bahot yaad aaya.

Tumhein dushmano ki dushmani ne maar dala hai,
Mujhe dekho main apne dosto se zakham khata hoon.

Be-khabar ho gaye hain kuch dost,
Ab humari zaroorat hi mehsoos nahi karte,
Jo har dam sath rehte they,
Ab khairiyat bhi maloom nahi karte.

Uska shukriya kuch is tarah se ada karon,
Wo kare bewafai main sada wafa karon,
Meri dosti ne itna sikhaya hai mujhe,
Khud mit jaon magar uss ke liye dua karon.

Qimat paani ki nahi piyaas ki hoti hai,
Qimat maut ki nahi saans ki hoti hai,
Dost to bahot hain duniya mein magar,
Qimat dosti ki nahi atibar ki hoti hai.
Sad Shayari Dosti Par​

Dard se dosti ho gayi yaaro,
Zindagi be dard ho gayi yaaro,
Kya hua jo jal gaya aashiyana humara,
Door tak roshni to ho gayi yaaro.

Dost ak kitab ki tarah hota hai,
Woh kitni hi purani ho jaye par uske alfaz nahi badlte,
Kabhi yaad aaye to warq palat kar dekhna,
Hum kal jaise they aaj bhi waise hain.

Waqt ki yaari to har koi karta hai mere dost,
Maza toh tab hai jab waqt badal jaye par yaar na badle.

Kuch apna hosh tha na tumhara khiyal tha,
Yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi,
Aye dost humne tark-e-mohabbat ke bawajood,
Mehsus ki hai teri zaroorat kabhi kabhi.
Dosti Ki Sad Shayari​

Aapki dosti hum is tarah se nibhaenge,
Aap roz khafa ho na hum roz manayege,
Par maan jana manane se,
Varna bheegi palkein lay ke hum kahan jayenge.

Main bhula nahi hoon kisi ko,
Mere bahot ache dost hain zamane mein,
Bas thodi zindagi ulajhi padi hai,
Do waqt ki roti kamane mein.

Do pal ki zindgi yun hi beet jaye gi,
Kali raat ke baad nayi subah aye gi,
Agar doston ki yaad sataye gi to qasam se,
Aapki yaad sab se pehle aaye gi.

Duaon mein teri khushi mangte hain,
Khuwabo mein teri hansi mangte hain,
Sochte hain hum tum se kiya mange,
Chalo umer bhar ki dosti mangte hain.

Sadma to hai mujhe bhi ke tujh se juda hoon main,
Lekin yeh sochta hoon ke ab tera kya hoon main,
Bikhra para hai tere hi ghar mein tera wajood,
Bekar mehfilon mein tujhe dhoondhta hoon main.
Dosti Pe Sad Shayari

Iqrar kar gaya kabhi inkar kar gaya,
Har baar ak azab se do char kar gaya,
Raasta badal badal ke bhi dekha magar wo shaks,
Dil mein utar ke saari hadein par kar gaya.

Dosti ka asar kabhi dard bhi de jata hai,
Jab apna hi dost hamesha ke liye door chala jata hai.

Hum toh aaj bhi unka intezar karte hain,
Par woh humein kab ka bhool chuke hain.

Dosti ki kashti kab doob gayi pata hi nahi chala,
Aaj wo dost bhi paraye ho gaye jise kabhi apna samajha.
Dosti Sad Shayari 2 Line​
Dost to they humare hamesha ke liye,
Par ak din wo rishta khatam ho gaya bas ak galti ke liye.
Qismat ne aise mod pe la diya,
Jahan dosti toot gayi aur humko akela chod diya.
Dard hota hai jab apna dost door ho jaye,
Lafzon ki jagah sirf khamoshi chodi jaye.
Dosti ka rang kabhi kabhi pheka pad jata hai,
Jab dost door jane lagta hai.
Jise hum apna samajhte rahe,
Wo hamesha humein paraya samajhte rahe.
Woh pal yaad aate hain jab hum sath hansa karte they,
Ab to sirf tanhai mein aansu baha karte hain.